Q1. Zakaat ke mustahiq kitne qism ke log hai ?
7
8
10
Q2. Masarife zakaat ___________________ ne kud batai hai.
Allah
Nabi (saws)
Khalife waqt
Q3. Zakaat usool karne par muqarar logon ko kya kaha jata hai ?
Aamiline zakaat
Masarife zakaat
Sharhe zakaat
Q4. Miskeen aur Faqeer mein bunyadi farq kya hai ?
Miskeen majburan mang leta hai
Faqeer majburan mang leta hai
Faqeer zarurat ke bawajud mangta nahi hai
Q5. Qarzdar aur zamanat bharne wale mein se kis ko zakaat di jasakti hai ?
Qarzdar
Zamanat bharne wala
Dono ko
Q6. Hadeeth mein ata hai "jis shaks ka kisi musibat ki wajah se maal khatam hogaya ho, usko zakaat di jasakti hai yahan tak ke :-
Wo ameer hojae
Pehle jitna maal hasil hojae
Uski zarurat puri hojae
Q7. "Taliful Qalb" mein koun log shamil hai ?
Aisa new muslim jo maali mushkilat ka shikar ho
Aisa ghair muslim shaks jo Islam qubool karna chahta ho
Dono hi shamil hai
Q8. Daurane safr zarurat padhne par kis tarah ke musafir ko zakaat deni jaiz hai ?
Jo apne ilaqe mein ghareeb ho
Jo apne ilaqe mein ameer ho
Dono tarah ke musafiron ko
Q9. Madaris ya deeni idaron mein jama shuda zakaat ki raqam par saal guzarne par :-
Zakaat dena afzal hai
2.5 % zakaat ada ki jaegi
Zakaat ada nahi ki jaegi
Q10. Quran aur ahadeeth ki roshni mein daure hazir ke masaeel ka haal nikalne ko kya kaha jata hai ?
Istekhara
Ijtehad
Sharyat
Q11. Kis surat ki ayat ko zakaat ki farziat ki daleel ke taur par pesh kiya jata hai ?
Al Baqarah
Al Anaam
At Taubah
Q12. Zakaat ghair muslimo ko deni jaiz hai.
Sahih
Galat
Jo Islam ki taraf ana chahe
Q13. Wo log jo be-gunah hone ke bawajud jailo mein phase huwe hai, wo zakaat ke kis masrif mein shamil hai ?
Fee sabeelil Allah
Gardane chodane ke liye
Q14. Fiqh darasal humare deen ___________________________ hai.
Ki khoobsurti
Mein ikhtelaf ki wajah
Mein bighadh ka sabab
Q15. Ulama jo ijtehad karte hai aur sahih natije par puhanchte hai, unke liye :-
Koi ajr nahi
Ek ajr hai
Duhra ajr hai