Q1. Sahaba ikhram ko Quran mein kya title diya gaya hai ?
Jinse Allah razi huwa
Jo Allah se razi huwe
Jinse Allah razi huwa aur Jo Allah se razi huwe
Q2. Zamane jahiliyat mein kounsi shaksiyat pura arab ghume ye dekhne ke liye ke sahih deen kahan hai ?
Zaid Bin Amrw
Ummayya Bin Sult
Abu Bakr (ra)
Q3. Sahaba ikhram kis ghazwae mein Rasool (saws) ke agae khade hogae aur apne sino se unki hifazat ki ?
Badr
Uhud
Khandaq
Q4. Abu Bakr (ra) ka asal naam kya hai ?
Abu Bakr
Siddique
Abdullah
Q5. Abu Bakr (ra) ka shajra nasb kis pusht mein Rasool (saws) se ja milta hai ?
Dusri (2nd)
Chetti (6th)
Panchwi (5th)
Q6. Kis ke bare mein Ayesha (ra) ne farmaya ke "Rasool (saws) ki wafat ke baad ye bilkul bhi nahi badle"
Umar (ra)
Ibn Umar (ra)
Umar (ra) aur Ibn Umar (ra)
Q7. Abu Bakr (ra) ka laqab "Ateeq" ka kya matlab hai?
Banda
Sacha
Aazad
Q8. Ummayya Bin Sult zamane jahiliyat mein button (idols) se bezar the. Ye kahan ke rehne wale the ?
Makkah
Madinah
Taif
Q9. Abu Bakr (ra) ke walid Abu Quhafa kab imaan laye ?
Fateh Makkah ke waqt
Islam ki shuruwat mein
Waqiah Meraj ke waqt
Q10. Zamane jahiliyat mein jab Abu Bakr (ra) ko ilm huwa ke koi nabi ayega toh unho ne uski tasdiq kis se ki ?
Rasool (saws)
Warqa Bin Nawfal
Salman Farsi