Q1. Umar (ra) ne akabir sahaba (ala rutba) ko kahan rakha tha ke unse mashware karsake aur unki beja aqeedat qaim na ho ?
Madinah
Madinah se dur
Makkah
Q2. Umar (ra) tanqeed (criticism) ko :-
Pasand karte
Na pasand karte
Sakht ghazab naak hote
Q3. Umar (ra) ko maale ghanimat se hasil hone wala kapda zyada kyu mila ?
Unka qad lamba tha toh unho ne zyada liya
Unke bete ne unko apna kapda bhi de diya
Unke ghulam ne unko apna kapdabhi de diya
Q4. Umar (ra) ne ahle kitab aurat se nikah ko :-
Pasand kiya
Na pasand kiya
Haram qarar diya
Q5. Islami calendar ke liye kis sahabi ka mashwara qubool kiya gaya ?
Rabie (ra)
Ali (ra)
Huzaifa (ra)
Q6. Rasool (saws) ne Kisra ke kangan pehanne ki peshan goi kis ke liye ki thi jo Umar (ra) ke daur mein sahih sabit hui ?
Adi Bin Hashim
Wahshi
Suraqa
Q7. Umar (ra) ke ghulam ne unhe bait ul maal ki untni ka doodh pilaya. Unho ne us baat per sahaba ikhram se mashwara kiya, unho ne kya kiya ?
Ye doodh unke liye haram tha
Ye doodh unke liye halal tha
Kuch ne haram aur kuch ne halal qarar diya
Q8. Log kehte the Umar (ra) hi _____________________ hai aur ____________________ hi Umar (ra)
Adl
Ghussa
Ameer ul momineen
Q9. Umar (ra) ki usool pasandi ko dekh kar Ali (ra) ne kya farmaya ?
Aap aane wale hukmuran ke liye kada meyaar banarahe hai
Aap aane wale hukmuran ke liye misal paida kar rahe hai
Aap aane wale hukmuran ke liye aasani paida kar rahe hai
Q10. Koun koun Umar (ra) ke samne zulm ki shikayat karsakta tha ?
Ohde dar
Sahaba ikhram
Ek mamuli shaks