NAMAZ KE MASAEEL {TEST-14}

Descrição

The fundamentals of PRAYER
Asiya  Abdul Raoof
Quiz por Asiya Abdul Raoof, atualizado more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Criado por Asiya Abdul Raoof quase 9 anos atrás
1930
0

Resumo de Recurso

Questão 1

Questão
Q1. Salaam ke baad sahw ke baare mein kalaam namaz ko _______________ karti hai.
Responda
  • Batil
  • Batil nahi
  • Khatam

Questão 2

Questão
Q2. Salaam pehrne ke baad sajde sahw karne ke liye dobara tashahud padhna :-
Responda
  • Sunnat se sabit nahi
  • Jaiz hai
  • Sunnat se sabit hai

Questão 3

Questão
Q3. Bhool ke liye kya lafz istemal hota hai ?
Responda
  • Nisyaan
  • Sahw
  • Dono alfaaz durust hai

Questão 4

Questão
Q4. Agar __________________ namaz waqt par ada na ki jasake toh mauqa milte hi fauran ada karni chahiye.
Responda
  • Laparwai ki wajah se
  • Baghair kisi uzr ke
  • Kisi uzr ki wajah se

Questão 5

Questão
Q5. Qaza namaz bajama'at ada karna :-
Responda
  • Jaiz hai
  • Jaiz nahi
  • Makrooh hai

Questão 6

Questão
Q6. Pehle tashahud bhool kar puri tarah khade na ho aur baitna yaad ajae toh bait jana chahiye.
Responda
  • Jee haan
  • Jee nahi
  • Sajde sahw lazim ayga

Questão 7

Questão
Q7. Sajde sahw kab karna chahiye ?
Responda
  • Salaam se pehle
  • Salaam ke baad
  • Dono tarah kiya jasakta hai

Questão 8

Questão
Q8. Namaz mein koi soch ane par :-
Responda
  • Sajde sahw lazim nahi ata
  • Sajde sahw lazim ata hai
  • Ismein ikhtelaf hai

Questão 9

Questão
Q9. Raat ko witr ada na kiye ho, toh subah ke waqt padhe jasakte hai.
Responda
  • Ye sunnat se sabit nahi
  • Jee nahi
  • Jee haan

Questão 10

Questão
Q10. Pehla tashahud bhool kar namazi qiyam ke liye seedha khada hojae toh tashahud ke liye wapas bait jana chahiye.
Responda
  • Jee nahi, balke sajde sahw kar lena chahiye
  • Koi harj nahi
  • Jee haan

Questão 11

Questão
Q11. Namaz mein bhool se koi rukn (Surah Al-Fatiha, ruku, sajda etc) choot jane par kya kiya jae ?
Responda
  • Puri namaz dohraani hogi
  • Sajda sahw ke 2 sajde kar lena kafi hai
  • Rakat dohrakar phir sajde sahw karna hoga

Questão 12

Questão
Q12. Qaza umri ada karna :-
Responda
  • Sunnat se sabit nahi
  • Sunnat se sabit hai
  • Behtareen amal hai

Questão 13

Questão
Q13. Neend ki wajah se namaz qaza hojae toh kya kiya jae ?
Responda
  • Nawafil ada kiye jae
  • Ma'afi mangi jae
  • Neend se ankh khulte hi ada ki jae

Questão 14

Questão
Q14. Haizah ke liye haiz ke dino ke :-
Responda
  • Dono ki qaza nahi hai
  • Rozon ki qaza nahi hai
  • Namaz ki qaza nahi hai

Questão 15

Questão
Q15. Namaz-e-Fajr ki 2 sunnate farzon se pehle na padhi jasake toh kya karna chahiye ?
Responda
  • Farzo ke baad ada karni chahiye
  • Suraj nikalne ke baad ada karni chahiye
  • Dono tarah kiya jasakta hai

Questão 16

Questão
Q16. Ayyam-e-Jahiliyat mein ada na ki gai namazo ka kya kiya jae ?
Responda
  • Isteghfar aur sadqaat
  • Nawafil ki kasrat
  • Dono jawabaat durust hai

Questão 17

Questão
Q17. Bhooli hui namaz ka kaffara kya hai ?
Responda
  • Us namaz ko ada kar lena
  • Maal dena
  • Miskino ko khana khilana

Questão 18

Questão
Q18. Bajamaa't namaz mein sajde sahw kab lazim ata hai ?
Responda
  • Bajama'at namaz mein sajde sahw ki zarurat nahi
  • Muqtadi ki bhool par
  • Imaam ki bhool par

Questão 19

Questão
Q19. ____________________ ki wajah se namaz qaza hojae toh yaad ate hi fauran ada karni chahiye.
Responda
  • Bhool
  • Masrufiyat
  • Waqt ki kami

Questão 20

Questão
Q20. "Ilm toh seekh liya, aab adab seekh raha hoon" ye kis imaam ke alfaaz hai ?
Responda
  • Imaam Maalik
  • Imaam Bukhari
  • Imaam Shafa'ee

Semelhante

NAMAZ KE MASAEEL {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-4}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-8}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-13}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-18}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-10}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-12}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-1}
Asiya Abdul Raoof