Q1. Hadith rasool (s.a.w.s) mein kis cheez ke bare mein yeh kaha gaya hai ke agar wo kisi ke dil mein rai ke dane ke barabar bhi ho toh wo jannat mein dakhil na hoga.
Answer
Hasad
Takabbur
Kinah
Question 2
Question
Q2. Firaun takabur ke bais imaan na laya, jabke jadugaron mein wo kounsi sifat thi jo unke imaan lane ki wajah bani ?
Answer
Aajizi
Mahaarat
Farmabardari
Question 3
Question
Q3. Harun (a.s) ne Musa (a.s) ko gusse mein paakar kya keh kar mukhatib kiya ?
Answer
Aye mere pyare bhai
Aye mere maa ke bete
Aye mere chote bhai
Question 4
Question
Q4. Koh-e-toor par Allah (s.w.t) ne Musa (a.s) ko bulaya take :-
Answer
Wo yaksu hokar ibaadat kare
Shrya'at ke ahkaamaat diye jae
Allah apni tajlli dikhae
Question 5
Question
Q5. Yaum-al-furqaan kis din ko kehte hai ?
Answer
Ghazwa-e-Uhud ka din
Ghazwa-e-Badar ka din
Ghazwa-e-Khandaq ka din
Question 6
Question
Q6. Anbiya (a.s) ki dawat pur asr hone ki sub se badi wajah kya thi ?
Answer
Unki qaum rah-e-raast par thi
Unka apni qaum ko jahannum se darana
Unki khair khwahi apni qaum ke liye
Question 7
Question
Q7. Aaj humari dawat mein asr nahi. Uski badi wajah kya hai ?
Answer
Log sunna nahi chahte
Humne deen ko mushkil bana kar pesh kiya hai
Aaj ke daur mein deen par amal karna mushkil hogaya hai
Question 8
Question
Q8. Ahed-e-aalast ka kya faida hai ?
Answer
Insaan haqq ko pehchan leta hai
Insaan ko ashraf-ul-makhluqaat qarar diya gaya
Insaan mein dusre insaano ki mohabbat paida hui
Question 9
Question
Q9. Surah anfaal aayat 176 mein zameen ki taraf jhukne se kya murad hai ?
Answer
Aajzi karna
Dunya ke faide hasil karna
Sajda raiz hona
Question 10
Question
Q10. Allah (s.w.t) ke ache naamo se kya murad hai ?
Answer
Jis ache naam se uska banda use pukare
Zaati naam
Sifaati naam
Question 11
Question
Q11. Musalman Allah ke kalime ki sar bulandi ki khatir jang karte hai. Is liye Surah Anfaal mein
“maal-e-ghanimat” ko :-
Answer
Nafl (extra) kaha gaya
Napasandida kaha gaya
Ikhatta karna mana kiya gaya
Question 12
Question
Q12. Ghazwa-e-Badar ke mauqae par ki gai yeh dua ke “Ya Allah hum mein se jo tera zyada nafarmaan aur rishton ko kaatne wala hai, kal tu use halak karde” yeh dua qubool ki gai.
Yeh dua kisne ki thi ?