DAUR-E-QURAN juz 13

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof over 9 years ago
55
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Ohda mangna :-
Answer
  • Na jaiz hai
  • Har kisi ka haqq hai
  • Taqwa , bhalai aur nekiyan aam karne ke liye manga jasakta

Question 2

Question
Q2. Sacha kawab koun dekh sakta hai ?
Answer
  • Muttaqi shaks
  • Aam musalman
  • Koi bhi, chahe ghair muslim ho

Question 3

Question
Q3. Tawakal kis tarah hona chahiye ?
Answer
  • Pura bharosa Allah par kare, tadbeer (action) ki koi zarurat nahi
  • Tadbeer (action) karne ke baad Allah par bharosa kare
  • Apni tadbeer par bharosa karne se Allah par bharosa pakka hota hai

Question 4

Question
Q4. Yaqoob (a.s) ke apne beton se rawaiye mein humare liye kya sabaq hai ?
Answer
  • Aulaad se mayus nahi hona chahiye
  • Aulaad ko har tarah ki azaadi di jae
  • Aulaad se bepanah mohabbat ki jae

Question 5

Question
Q5. Mayusi ko kya kaha gaya hai ?
Answer
  • Kamzori
  • Kufr
  • Gunah

Question 6

Question
Q6. Yusuf (a.s) ke bahiyon ka kirdaar kaisa nazr ata hai ?
Answer
  • Waqti taur par shaitan haawi aagaya magar wapas palat gae
  • Khair unke dil mein maujud thi
  • Dono jawabat durust hai

Question 7

Question
Q7. Yusuf (a.s) ka yeh jumla “aaj tum par koi mulaamat nahi, Allah tumhe bakhshe” Nabi (s.a.w.s) ne kis mauqae par duhraya tha ?
Answer
  • Ghazwa-e-Uhud mein jiti hui jang harne par
  • Hajjatul wida’a ke mauqe par
  • Fateh-Makkah ke mauqe par

Question 8

Question
Q8. Yusuf (a.s) ne apne walid Yaqoob (a.s) se mulaqaat par kya kaha ?
Answer
  • Mere bhaiyon ne mujh par bahut zulm kiya
  • Mujh par bahut si azmaish ayi
  • Allah ke apne upar ehsaanaat batae

Question 9

Question
Q9. Mushrikeen ko kya baat ajeeb lagi ?
Answer
  • Mitti hone ke baad nai paidaish
  • Ek hi zameen se muhktalif paidawaar
  • Raat aur din ka ek ke baad ek ana

Question 10

Question
Q10. Momin ki misaal kis tarah di gai hai ?
Answer
  • Zarkhaiz zameen se
  • Pakeeza darkht se
  • Jannat ke phal se

Question 11

Question
Q11. Qissa Yusuf (a.s) bayaan hone se kya baat sabit hoti hai ?
Answer
  • Nabi (s.a.w.s) ki nubuwat aur Quran ka Allah ka kalaam hona
  • Nabi (s.a.w.s) ghaib ki khabr rakte the
  • Nabi (s.a.w.s) ye qissa yahudion se sun chuke the

Question 12

Question
Q12. Yaqoob (a.s) ki kounsi khoobi har mauqe par bayaan hui hai ?
Answer
  • Sabrun Jameel
  • Yusuf (a.s) se mohabbat
  • Apni aulad par a’atemaad

Question 13

Question
Q13. Yusuf (a.s) ko mohsin kaha gaya. Mohsin koun hota hai ?
Answer
  • Jo dusron ko unke haqq se zyada de
  • Jo apne haqq mein kami qubool kare
  • Dono jawabat durust hai

Question 14

Question
Q14. Ibrahim (a.s) apni aulad ke liye bhi dua mangte hai. Ismein humare liye kya sabq hai ?
Answer
  • Dua karne se sub kaam banjate hai
  • Dua ke sath tarbiyat bhi zaruri hai
  • Hum apni aulad ki dunya hi ki nahi balke akhirat ki bhi fikr kare
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof