DAUR-E-QURAN juz 25

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof over 9 years ago
55
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Imaan ke sath kya cheez duaon ki qubuliat ka bais hai ?
Answer
  • Logon se dua ki darkhawsat karna
  • Gid gida kar mangna
  • Naik amal ki kasrat

Question 2

Question
Q2. “Ummul Qura” kis shehr ko kaha gaya hai ?
Answer
  • Baghdaad
  • Madina
  • Makkah

Question 3

Question
Q3. Tamam anbiya ka deen aik hi tha. Farq kis mein tha ?
Answer
  • Rasm wa riwaj
  • Shariyat
  • Bunyadi aqaid

Question 4

Question
Q4. Agar Allah sub bandon ki rozi faraagh karde toh kya hoga ?
Answer
  • Zameen mein fasad
  • Log mehnat karna chod deynge
  • Naik amal ki kasrat

Question 5

Question
Q5. Surah Shuraa mein momin ki khas sifat batai gai hai. Jis wajah se is surah ka naam bhi rakha gaya hai ?
Answer
  • Affw darguzar se kaam lete hai
  • Namaz qaim karte hai
  • Apas mein mashwara karte hai

Question 6

Question
Q6. Ghusse ke waqt affw darguzar se kaam lene se kya murad hai ?
Answer
  • Ghusse mein kam hi ate hai
  • Ghusse mein ate hi nahi
  • Affw darguzar unki tabiyat ka hissa hai

Question 7

Question
Q7. Zyadati ka kitna badla liya jasakta hai ?
Answer
  • Jitna aap ke akhtiyar mein ho
  • Jitni zyadati hui ho
  • Badha kar liya jasakta hai take aynda zyadati ki himmat na ho

Question 8

Question
Q8. Surah Shuraa mein sabar karne aur maaf kardene ko kaisa kaam bataya gaya hai ?
Answer
  • Sub se acha kaam
  • Naik kaam
  • Himmat ka kaam

Question 9

Question
Q9. Allah ki nazr mein dunya ki koi wuqqat nahi. Agar Allah chahta toh kafiron ke ghar kis tarah ke bana deta ?
Answer
  • Sone chandi ke
  • Aaram da, khubsoorat
  • Mazboot

Question 10

Question
Q10. Allah betion aur beton ko dene ka akhtiyar rakhta hai. Is mamle mein humara rawiya kya hai ?
Answer
  • Har haal mein Allah ka shukr ada karte hai
  • Beton ko behtar samjhte hai
  • Betion se zyada mohabbat karte hai

Question 11

Question
Q11. Ladhkiya zewarat mein paali jati hai. Isse kya murad hai ?
Answer
  • Banao singhaar par tawajju deti hai
  • Mardon ke muqable mein jismani aur nafsiati taur par kamzor hoti hai
  • Zewarat pasand karti hai

Question 12

Question
Q12. Laylatul Qadr babarkat kyun hai ?
Answer
  • Ismein Quran ka nuzool huwa
  • Ismein ibaadat ka bahut ajr hai
  • Dono jawabat durust hai

Question 13

Question
Q13. Laylatul Qadr ko dondhne ka hukum mila hai. Kab dhonda jaega ?
Answer
  • Ramadan ke mahine mein
  • Ramadan ke akhiri ashre ki taaq raaton mein
  • 27 Ramadan mein

Question 14

Question
Q14. Kis raat mien sare saal ke hone wale waqiaat ka faisla kiya jata hai ?
Answer
  • Shab-e-Barat
  • Shab-e-Qadr
  • Dono jawabat durust hai

Question 15

Question
Q15. Dukhan (dhuwe) se kya murad hai ?
Answer
  • Qurbe qayamat ki aik nishani hai
  • Mushrikeen-e-Makkah ko qahed ke azaab mein mubtala kiya gaya tha
  • Dono jawabat durust hai

Question 16

Question
Q16. Surah Jasiya mein bataya gaya hai ke har ummat qayamat ki haulnaki dekh kar kya karegi ?
Answer
  • Roye gi
  • Baghne ki koshish karegi
  • Ghutnao ke bal gir jaegi
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof