DAUR-E-QURAN juz 28

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof over 9 years ago
105
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Majlis ke adaab kis surah mein batae gye hai ?
Answer
  • Surah Al Mujadilah
  • Surah Al Jumuah
  • Surah Al Mumtahinah

Question 2

Question
Q2. Surah Al Mujadilah mein kin sahabiya ka Nabi (s.a.w.s) se takrar ka waqia bayan huwa hai ?
Answer
  • Khuwala bint Malik
  • Hamnah bint Jahash
  • Asma bint Abi Bakr

Question 3

Question
Q3. Nabi (s.a.w.s) se sargoshi karne se pehle kuch sadqa de diya karo. Ye hukum jald hi mansukh bhi kardiya gaya. Wo koun sahabi hai jinhone is hukum par amal kiya ?
Answer
  • Abu Bakr (r.a)
  • Ali (r.a)
  • Umar (r.a)

Question 4

Question
Q4. Nabi (s.a.w.s) ko bhi haram aur halal ka ekhtiyar hasil nahi hai. Iski daleel kounsi surat hai ?
Answer
  • Surah At Tahreem
  • Surah At Talaaq
  • Surah At Taghabon

Question 5

Question
Q5. Surah Al Hashr mein yahud ke kis qabile ka zikr hai ?
Answer
  • Banu Nazeer
  • Banu Quraiyza
  • Banu Qainqa’a

Question 6

Question
Q6. Agar ladne ki nobat na aye aur dushman ka kuch maal hath aye toh us maal ko kya kehte hai ?
Answer
  • Maal-e-ghanimat
  • Maal-e-hiba
  • Maal-e-feh

Question 7

Question
Q7. Allah ke liye mohabbat aur dushmani rakhne ki behtarin misaal sahaba kraam ne pesh ki. Musaib bin Umair (r.a) ne Jang-e-Badr mein kis ko qatl kiya ?
Answer
  • Apne bhai
  • Apne walid
  • Apne dost

Question 8

Question
Q8. Banu Nazeer ke pass kounsa hunar tha ?
Answer
  • Hathyar banate
  • Bartan banate
  • Ghar banana

Question 9

Question
Q9. “شح” Shuh kya hai ?
Answer
  • Bukhl
  • Hirs
  • Hirs wa bukhl

Question 10

Question
Q10. Al Mumtahinah mein kin ka imtehan lene ko kaha gaya hai ?
Answer
  • Musalman aurton ka
  • Kafir aurton ka
  • Wo aurtein jo Makkah se Madina hijrat karke arahi thi

Question 11

Question
Q11. Allah ki maddad karne se kya murad hai ?
Answer
  • Farmabardari karna
  • Allah ke deen ki tabligh karna
  • Beinteha ibaadat karna

Question 12

Question
Q12. Kitab wa hikmat ki taleem mein ‘hikmat’ se kya murad hai ?
Answer
  • Ahadith
  • Quran
  • Zikr

Question 13

Question
Q13. Munafiqoon ki sifat aaj hum kahan pate hai ?
Answer
  • Apne muashre mein
  • Apne andar
  • Dono jawabat durust hai

Question 14

Question
Q14. Qayamat ke din ko “yaum ut taghabon” kyun kaha gaya hai ?
Answer
  • Bahut se logon ke amal zaya kardiye jayge
  • Jo samjhte the ke hum kamyab honge wo na kaam hojayge
  • Dono jawabat durust hai
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof