NAMAZ KE MASAEEL {TEST-21}

Description

The fundamentals of PRAYER
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof over 8 years ago
1651
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Namaz-e-Ghrahan ke baad khutbah dena :-
Answer
  • Masnoon hai
  • Wajib hai
  • Jaiz hai

Question 2

Question
Q2. Kis ghazwae se wapsi par rasool (s.a.w.s) ne sahaba ikhraam ko farmaya ke Asr ki namaz Banu Quraiza mein jakar padhna ?
Answer
  • Ghazwae Ahzaab
  • Ghazwae Khandaq
  • Ghazwae Mustalaq

Question 3

Question
Q3. Namaz-e-ghrahan ka waqt kya hai ?
Answer
  • Chasht ka waqt
  • Jab ghrahan lage
  • Jis din ghrahan lage us din kisi waqt bhi padhi jasakti hai

Question 4

Question
Q4. Kis namaz ke liye logon ko jama karne ke liye kaha jata hai ke "Namaz tayyar hai".
Answer
  • Namaze Khauf
  • Namaze Ghrahan
  • Namaze Istekhara

Question 5

Question
Q5. Namaz-e-Khauf ke liye :-
Answer
  • Safar shart nahi hai
  • Safar shart hai
  • Hazr shart hai

Question 6

Question
Q6. Namaz-e-Kasoof aur Khusoof ki khaas baat kya hai ?
Answer
  • Qiraat buland awaaz se padhi jati hai
  • Taweel namaz padhi jati hai
  • Dono jawabaat durust hai

Question 7

Question
Q7. Istekhara ka ma'na kya hai ?
Answer
  • Allah se khair talab karna
  • Allah ki panah mein ana
  • Allah se maafi mangna

Question 8

Question
Q8. Sahaba ikhraam ka ek groh Banu Quraiza mein puhunch kar aur ek groh ka raste mein namaz ada karna. Kya zahir karta hai ?
Answer
  • Ek masle ke ek se zyada haal hosakte hai
  • Sahaba ikhraam ke darmiyan ikhtelaaf ko zahir karna hai
  • Nabi (s.a.w.s) ko sahaba se bahut mohabbat thi

Question 9

Question
Q9. Nabi (s.a.w.s) ne kis shaks ke liye khaas dua farmai ke "Allah aise shaks ke chehre ko tarwa tazah rakhe".
Answer
  • Logon ko maaf kar dene wala
  • Bahut zyada muskurane wala
  • Jisne hadeeth suni, yaad ki aur dusron tak puhchai

Question 10

Question
Q10. Istekhara kisko karna chahiye ?
Answer
  • Masjid ke imaam se karwaya jana chahiye
  • Jisko maslah darpesh hai
  • Ghar ka baad kare toh behtar hai

Question 11

Question
Q11. Namaz-e-Awwabeen ka waqt kya hai ?
Answer
  • Tuluh-e-suraj ke 15 minute pehle
  • Tuluh-e-suraj ke 2 ghante baad
  • Tuluh-e-suraj ke 2-2 1/2 ghante baad

Question 12

Question
Q12. Namaz-e-Chasht mein kitni rakate ada karna afzal hai ?
Answer
  • 2
  • 4
  • 12

Question 13

Question
Q13. Istekhara ke baad khawab mein hari cheez ya hara rang dekhna kaisa hai :-
Answer
  • Allah ki taraf se kaam ki ijaazat milna hai
  • Allah ki taraf se kaam ki ijaazat na milna hai
  • Is baat ka istekhara se koi taluq nahi

Question 14

Question
Q14. Istekhara ka waqt kya hai ?
Answer
  • Raat ke waqt sone se pehle
  • Tahajjud ka waqt
  • Jab maslah pesh aye

Question 15

Question
Q15. Kis shaks ke din bhar ke kaamo ki zimedari Allah tala apne zime le leta hai ?
Answer
  • Chasht ki 4 rakat ada karne wala
  • Tahajjud ki 4 rakat ada karne wala
  • Asr se pehle 4 rakat ada karne wala

Question 16

Question
Q16. "Mubah" kamo se kya murad hai ?
Answer
  • Wo kaam jinko karne se sawab milta hai
  • Wo kaam jinko karne se sawab nahi milta hai
  • Wo kaam jinko karne se na sawab milta hai na chodne se gunah milta hai

Question 17

Question
Q17. Namaz-e-Fajr ada karne ke baad usi jagah chasht ka intezaar karne aur 2 rakat padhne ka sawab :-
Answer
  • Ek utni ki qurbani ke barabar hai
  • Ek hajj aur umrah ke barabar hai
  • Ek ghulam azaad karne ke barabar hai

Question 18

Question
Q18. Istekhara ke bawajood faisla mushkil ho toh :-
Answer
  • Bar bar istekhara duhrana chahiye
  • Khawab mein jawab ka intezaar karna chahiye
  • Ek dafa se zyada istekhara nahi karna chahiye

Question 19

Question
Q19. Humare muashre mein subse zyada toham parasti kis muamle mein pai jati hai ?
Answer
  • Suraj ghrahan
  • Chand ghrahan
  • Dono ke bare mein

Question 20

Question
Q20. Behtareen khata kar koun hai ?
Answer
  • Gunah ka ehsaas karke mayus hojane wale
  • Apne gunah ka dusron ko batane wala take dusre baaz rahe
  • Gunah ke baad fauran ruju karne wala
Show full summary Hide full summary

Similar

NAMAZ KE MASAEEL {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-18}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-13}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-4}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-8}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-10}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-14}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-12}
Asiya Abdul Raoof