QURANIC GEMS QUIZ 28-29-30

Description

TRANSLATION AND TAFSEER OF SELECTED AYAH OF THE HOLY QURAN
Shabana Rupani
Quiz by Shabana Rupani, updated more than 1 year ago
Shabana Rupani
Created by Shabana Rupani over 5 years ago
354
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1) Ayat ko jhutlaane se kya muraad hai ?
Answer
  • Quran ko bilkul na padhna
  • Padhna magar samajhna nahi
  • samajhna per amal na karna
  • All of the above

Question 2

Question
Q2) Jis tarah murghe ki skin utaar di jaati hai usi tarah Qayamat ke din kya cheez dikhai degi ?
Answer
  • Aasmaan
  • Zameen
  • Pahaad
  • Samandar

Question 3

Question
Q3) Samandar aur dariya ke paani Qayamat ke din kaise honge ?
Answer
  • Sailaab ho jayenge
  • Aag se bhadak uthenge
  • Khushk ho jayenge
  • Aabi makhlooq ko bahar phenk denge

Question 4

Question
Q4) Qayamat ke roz log apne Aamaal ke mutabiq kis cheez mein doob jayenge ?
Answer
  • Paseene mein
  • Dukh mein
  • Paani mein
  • Khoon mein

Question 5

Question
Q5) Allah jisse bhalai ka irada karta hai to use kya ata karta hai ?
Answer
  • Maal, taki wo Allah ki raah meim kharch kar sake
  • Deen ki samajh boojh
  • Logon ke kaam aane ki fikr
  • Bada uhda jisse wo dusron ko faayda dein

Question 6

Question
Q6) Log kyu Yateemon, Miskeenon aue Qaidiyon ko khana khilaate hain ?
Answer
  • Log shukrguzaar hon
  • Log unke kaam karein
  • Riyakari
  • Allah ke chehre ke liye

Question 7

Question
Q7) Nafq-al-Awwal(pehle soor) ke baad kya hoga ?
Answer
  • Sab ladne lagenge
  • Sab dehshat -zada ho jayenge
  • Sab mar jayenge
  • Sab apni Qabar se nikalkar maidaan-e-Hashr mein jama ho jayenge

Question 8

Question
Q8) Quran mein Quran ke alawah kisko Furqan aur Noor Kaha gaya hai ?
Answer
  • Injeel
  • Zaboor
  • Tawrah
  • Suhoof-e-Ibrahim

Question 9

Question
Q9) Pehli Wahi ki amad per Hazrat Khadijah(RA) ne Aap(SAW) ko tasalli dete hue Aap(SAW) ki kis khoobi ka zikr kiya tha ?
Answer
  • Aap(SAW) Allah ke shukrguzar bande hain
  • Aap(SAW) bhookon ko khana khilaate hain
  • Aap(SAW) Sabr karnewale bande hain
  • None of the above

Question 10

Question
Q10) Allah ke deedar ke husool ke liye Rasool(SAW) ne kin Namazon ko waqt per ada karne ki taqeed ki ?
Answer
  • Fajr aur Zuhr
  • Fajr aur Asar
  • Fajr aur Maghrib
  • Fajr aur Isha

Question 11

Question
Q11) Kaafir Qayamat ke din kya kahenge ?
Answer
  • Kaash main nek Aamaal kar leta
  • Kaash main Imaan le aata
  • Kaash main Mitti hota
  • Kaash main Jaanwar hota

Question 12

Question
Q12) Insaan se pehle Quran ko kis cheez ke saamne pesh kiya gaya tha ?
Answer
  • Zameen
  • Aasmaan
  • Pahad
  • All of the above

Question 13

Question
Q13) Sabse badi nemat jo Jannatiyon ko milegi ?
Answer
  • Jannat ke wasat mein ghar
  • Jannat ka libaas
  • Farishton ki mezbaani
  • Allah ka deedaar

Question 14

Question
Q14) Insaan ko janwar se tashbeeh kyu di gayi hai ?
Answer
  • Aapas mein ladte hain
  • Kaan hote hue bhi sunte nahi hain
  • Sirf khaane ki fikr karte hain
  • doosron ke kaam nahi aate
Show full summary Hide full summary

Similar

QURANIC GEMS QUIZ 7-8-9
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ JUZ 1-2-3
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 16-17-18
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 4-5-6
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 10-11-12
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 25-26-27
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 13-14-15
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 22-23-24
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 19-20-21
Shabana Rupani
Fahm al-Qur'an Juz' 1 Part 1 Quiz
Al Huda Canada
Fahm al-Qur'an Juz' 1 Part 2 Quiz
Al Huda Canada