QURANIC GEMS QUIZ 4-5-6

Descrição

TRANSLATION & TAFSEER OF SELECTED AYAH OF THE HOLY QURAN
Shabana Rupani
Quiz por Shabana Rupani, atualizado more than 1 year ago
Shabana Rupani
Criado por Shabana Rupani mais de 5 anos atrás
486
0

Resumo de Recurso

Questão 1

Questão
Q1) Jis tarah aag lakdiyon ko khatam kardeti hai usi tarah kaunsi cheez nekiyon ko khatam kar deti hai ?
Responda
  • Rashk
  • Hasad
  • Competition
  • Hiqarat

Questão 2

Questão
Q2) Allah ki taraf qurb haasil karne ke liye kya zaruri hai ?
Responda
  • Sahih ilm
  • Ibadat
  • Shariat ke ehkaam ki pabandi
  • All of the above

Questão 3

Questão
Q3) Rasool Allah (SAW) ko kisi per ghussa aata to kya farmaate ?
Responda
  • Uske haath khaakh aalood hon
  • Uska chehra khaakh aalood hon
  • Uski peshaani khaakh aalood hon

Questão 4

Questão
Q4) Allah tala farmaate hain ki jab mera bandah __________ ke zariye mera qurb haasil karne ki koshish karta hai to main uska dost ban jaata hoon
Responda
  • Nawafil/ Tahajjud
  • Sadaqah
  • Roza
  • Khidmat-e-Khalq

Questão 5

Questão
Q5) Shariat ki hifazat se kya murad hai ?
Responda
  • Khud Shariat ki pabandi karna
  • Apne gharwalon ko Shariat ka paband karna
  • Apne ird-gird ke maahol ko jahan tak ho sake Shariat ka paband karna
  • All of the above

Questão 6

Questão
Q6) Kis amal per Hadith mein ye bataya gaya hai ki subah kare aur shaam mein inteqaal ho jaaye to seedha Jannat mein jayega ?
Responda
  • Tangi ki haalat mein Infaaq karna
  • Sayyid-al-Istighfaar dil mein padhna
  • Amal-e-Saaleh karna
  • Imaan laana

Questão 7

Questão
Q7) Eik hi Jung mein (Jung-e-Qudsiyah) ek sahabiyah ke chaaron bete shaheed hue. Sahabiyah ka naam bataein
Responda
  • Sumayyah(RA)
  • Umme Aiman(RA)
  • Khansah(RA)
  • Umm Ammarah(RA)

Questão 8

Questão
Q8) Waseelah ke maano mein ___________________ ka maani bhi chupa huwa hai
Responda
  • Raghbat aur dil ki khushi
  • Majboori
  • Zabardasti

Questão 9

Questão
Q9) Wo kaunse Sahabi the jinhone mehmaan ke khaane ke waqt chiragh bujha diya aur behtereen mezbaani ka sharf haasil kiya ?
Responda
  • Abu Ubaidah (RA)
  • Abu Salama(RA)
  • Talha(RA)
  • Muawiyyah(RA)

Questão 10

Questão
Q10) Hasan Basri ke Qaul ke mutabiq kis cheez ki wajah se insaan buraai ki taraf chala jaata hai ?
Responda
  • Takabbur
  • Hasad
  • Hirs/Greed/envy
  • All of these

Questão 11

Questão
Q11) Hasad ki badtareen qism kya hai ?
Responda
  • Jo nemat doosron ko mili hai wo humein bhi mil jaaye
  • Dusron ko mili nemat per khush na hona
  • Jo nemat mujhe nahi mili hai wo dusron ko bhi na mile
  • dusron ko mili hui nemat per mubarakbadi na dena

Questão 12

Questão
Q12) Abdullah bin Masood(RA) ne kya farmaaya ki Sahaba-e-ikraam Ramadan ka istiqbaal kaise karte the ?
Responda
  • Infaq mein bohot badh jaate
  • Ghussa qaboo mein laane ki practice karte
  • Bhookon ko khana khilaate
  • Kisi ke liye dil mein badgumani ya qeena ho to wo nikaal dete

Questão 13

Questão
Q13) Ayat ke mutabiq mardon ko aurton per qawwam kyu banaya gaya hai ?
Responda
  • Mard apna maal gharwalon per kharch karte hain
  • Mard jismani aur zehni taur per mazboot hote hain
  • Wo aurton ko protect karte hain
  • All of the above

Questão 14

Questão
Q14) Waseelah haasil karne ke liye kya karna hoga ?
Responda
  • Sifarish
  • Jadd-o-jahad
  • Buzurgani-e-deen se aqeedat
  • All of the above

Questão 15

Questão
Q15) Allah tala bohot Ghafoor-ur-Raheem hai wo humein har haal mein baksh dega. Is per yaqeen karnewaale Allah ki kis sifaat ko nazarandaaz(ignore) kar dete hain ?
Responda
  • Al Haleem
  • Al Adal
  • Ar Rahmaan
  • Ar Raoof

Questão 16

Questão
Q16) Koi aisa kaam karna jisse Allah ka qurb haasil ho kya kehlaata hai ?
Responda
  • Waseelah
  • Amal-e-Saaleh
  • Fadheelah

Questão 17

Questão
Q17) Kis lafz ka ek aur maana "Qadr-o-Qeemat ko jaanna hai ?
Responda
  • Jannat
  • Samawaat
  • Maghfirat
  • Infaaq

Questão 18

Questão
Q18) Qawwam ka maani bataaein
Responda
  • Haakim
  • Aamir
  • Nighraan
  • Jaabir

Semelhante

QURANIC GEMS QUIZ 7-8-9
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ JUZ 1-2-3
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 16-17-18
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 10-11-12
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 25-26-27
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 28-29-30
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 13-14-15
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 22-23-24
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 19-20-21
Shabana Rupani
Fahm al-Qur'an Juz' 1 Part 1 Quiz
Al Huda Canada
Fahm al-Qur'an Juz' 1 Part 2 Quiz
Al Huda Canada