Seerah quiz-6

Description

Understanding the life of the Prophet pbuh
Shabana Rupani
Quiz by Shabana Rupani, updated more than 1 year ago
Shabana Rupani
Created by Shabana Rupani over 9 years ago
486
0

Resource summary

Question 1

Question
Q-1: Habsha mein Musalman minority mein hone ki wajah se...
Answer
  • Apne Deen se na-waqif thay.
  • Islami tahzeeb ko bhool gaye.
  • Islam ki tahzeeb aur ibadat per jame rahe.

Question 2

Question
Q-2: Khawateen ke liye Islam mein ijazat di gayi...
Answer
  • Kisi bhi gair-mehram se baat nahi kar sakte.
  • Zarurat ke tahat baat kar sakte hain.
  • Hasi-mazaak kar sakte hain

Question 3

Question
Q-3: Namaz,roza,Hajj Islam ki tamaam ibadat kya ahsaas dilati hai aur Habsha mein tamaam musalmano ne Jafar(R.A) ko taqreer ke liye chuna
Answer
  • Musalman us waqt kamyab ho sakte hain jab kisi aik banner tale jama hon
  • Musalman jama bhi ho wahan sabse pehle kisiko apna Ameer banayega
  • Dono jawabaat durust hain.

Question 4

Question
Q-4: Hamza (R.A) ko aik kaneez ne Aap (S.A.W) per ho rahe zulm ki taraf mutawajje kiya jo unke liye Islam qubool karne ka baais huwi
Answer
  • Wo kaneez Abdullah bin Ja'dan ki thi.
  • Umar(R.A) ki kaneez Lubaina thi.
  • Umaiyyah bin khalf ki kaneez thi.

Question 5

Question
Q-5: Umar(R.A) Nubuwwat ke kitne saal baad Musalman hue ?
Answer
  • Nubuwwat ke 7th saal
  • Nubuwwat ke 6th saal
  • Nubuwwat ke 8th saal

Question 6

Question
Q-6: Umar(R.A) ne apni behen ke ghar kaunse Surah ki tilawat suni ?
Answer
  • Surah Maryam
  • Surah Haaq'qah
  • Surah Ta'ha

Question 7

Question
Q-7: "Umar(R.A) ke qubool-e-Islam ki wajah se Islam ko mazeed quwwat mili aur humne Ka'batullah ke saamne namaz padhi"
Answer
  • Abdullah bin masood ne kaha
  • Hamza(R.A) ne kaha
  • Khabbab bin Arat(R.A) ne kaha

Question 8

Question
Q-8: Wo Sahabiyah jinhe do hijraton ka sawaab hai
Answer
  • Asma binte Abu Bakr(R.A)
  • Asma Ansariya(R.A)
  • Asma binte Umais(R.A)

Question 9

Question
Q-9: Aap(S.A.W) ne khaas do logon ke liye dua ki unki kin khususiyaat ki bina per ?
Answer
  • Gehri soojh-boojh
  • Bahaduri aur baseerat
  • Mushkilaat mein date rehna
  • Teeno jawabaat durust hain

Question 10

Question
Q-10: Fiqh ka matlab kya hai ?
Answer
  • Fatawa kanoon
  • Gehri soojh-boojh Baseerat
  • Dono jawabaat durust hain

Question 11

Question
Q-11: Ghaati mein mehsoor tamaam log...
Answer
  • A) Chamda aur patte khane per majboor ho gaye
  • B) Giza ki farawani thi
  • C) kabhi kabhi giza pohonchti thi
  • D) A aur C sahi hai

Question 12

Question
Q-12: Shaqqe Qamar (splitting of the moon) ka waqya kab hua ?
Answer
  • Boycott se pehle
  • Boycott ke baad
  • Hijrate Madinah ke baad

Question 13

Question
Q-13: Umar(R.A) ko panaah di
Answer
  • Amr bin al Aas ne
  • Aas bin waael ne
  • Abdullah bin Amr al Aas ne

Question 14

Question
Q-14: Umar(R.A) ne chaha ki unke Islam laane ki khabar Makkah shehar meun phail(spread) jaaye...unhone socha kisko bataya jaaye ?
Answer
  • Jameel bin muammar Jimhi
  • Abu jahl
  • Abu Lahab

Question 15

Question
Q-15: Sahaba ki Seerat padhne se
Answer
  • Malumaat mein izafa hota hai
  • Questions ke answers achche se diye jaa sakte hain
  • Ikhlaaq behtar hote hain
Show full summary Hide full summary

Similar

Seerah quiz-1
Shabana Rupani
Seerah Quiz no 2
Shabana Rupani
Seerah quiz-16 & 17
Shabana Rupani
Seerah Quiz 11-12-13
Shabana Rupani
Seerah Quiz-3
Shabana Rupani
Seerah quiz-15
Shabana Rupani
Seerah Quiz-18
Shabana Rupani
Seerah quiz-5
Shabana Rupani
seerah quiz-14
Shabana Rupani
Seerah quiz-1
Asiya Abdul Raoof
Seerah quiz-19
Shabana Rupani